This is a short story written in Urdu language, with English alphabets, so if u know Urdu or Hindi please translate it in English for other readers
zubaida ka ount
us ka naam zubaida tha. wo nazik gadrai badan ki waja se madina k mujahidin ki ankhon mein mashoor thi. ye khubsurat yahudi larki fateh khyber ke malle ganimat mein lai gai thi. malle ganimat ki taqsim ke waqt wo zikria bin hashim k hisa mein aye.
zikria junge khaber mein aahim mujahid ke taur per samney aya. us ne bedardi se senkarun(hundreds of) shehriyon ko qatil kia aur kafiron per islam ki dhaak bethane mein aahim kardar ada kia. yehi waja thi keh jung k baad usay khas inam o ikram se nawaza giya.wo islami sharia per sakhti se amal karta tha,panch waqt ki namaz partha tha,rozay rakhta tha. us ne do nikah kr rakhay thay, do biwiyion k alawa us ki zubaida smait do londiyan bi thien.zikria ne youn tu kyi londiyioun ko anpni jinsi hawas ka nashana banaya magar jb se zubaida us k hisse mein ayi wo apni biwiyion ke baraye naam haquq o faraiz smait apne mazi k tamam jinsi tajarubat ko bool gia.
zubaida ka baap aur bhai jung mein qatil kr diye gaye aur aik chote bhai ko ghulam bana kr yemen k aik zamindar ko farokhat kr dia giya. maan ka usay pata na chal saka k wo zinda hai ya mar chuki hai.
zikria ne zubaida ko apni dusri biwi humna k saath rakha howa tha.humna se us k do bache thay. zubaida hi k zume bachon ki daikh bal thi. wo sara din mehmano ki khatir dari k liay khana banati apne malik aur malkin dabati garz ye keh ghar ke janwaron se le kr insano tak, sara din hr kisi kis khidmat mein lagi rehti.sare din ki thakin k baad sham ko jab wo apni malkin k saath rafaye hajit k liay nikalti to usay khuli fiza mein chalna hamesha atcha lagta.
madina k auratain rafaye hajit k liay toliyoun ki surat mein gharun se nikaltien thien. raat k is andhere mein bhi bohat se khawateen burqa ka istamal krteen, aisa na krne wali auratun ko bura bi samja jata aur islami sharia k matabiq saza ka dar b hota.
aaj raat kamray mein dhakil hotey hi zubaida ne apna burqa utara aur khonti per latka dia.kamre ka diya biyaya aur apne bister pere sooney k liye lait gayi.zikria apni dusri biwi k ghar tha. wo akeli to thi magar us k saath us k mazi ki yaadain thien. wo un atche dino ko yaad kr k ro rahi thi. jab wo azad thi to apne chote bai ko khilya krti aur kis tarah us ki maan us k balon ko girah lagaya krti thi. usay apni ghar ki aik aik baat puri tafsil k saath yaad aa rahi thi.
azadi ki talaash mein us ne aik saal pehle b baagne ki koshish ki magar sehra mein raasta batakne pr usay madina ki taraf anay wale tajrun ne pakar kr zikria k hawale kr dia, usay badtareen tashadad ka samna krna parah.jis mein us ki bazu ki hadi tot gai. us paon ko garam ubalte hovay sarson k tail mein daboya giya ta k wo aisa krne ka kabi soch b na sake. ab aik saal guzrne k baad us ne apna itimad kafi behtar ker liya tha aur wo azadi k liye aik aur koshish krna chahti thi.
humna bachon ko le kr apne mayke gai hoi thi k aik raat zikria humna ki bari pr us k ghar aya. us raat wo zubaida k husn o shabab se khail raha tha keh zubaida ne moqe ko ganimat jante hovay aik farmaish kr dali. garmaish bari ajeeb thi keh fateh khaber k baad mall e ganimat mein aya hova us k khandan ka paltu ount la kr dia jaye. us ne ye zahir kia keh es ghar mein wo ount aa jane se usay sakun aa jaye ga. zikria ne es masoomana farmaish ko pura krne ki hami bhar de aur agley din apne dost ko aik ount aur bereh de kr us k badlay mein zubaida ki farmaish wala ount ghar aa gia.
zubaida ount ko daikh kr itni khush hoi keh us ki ankhon se inso jari ho gay. us ne ount ko chara dala aur makhsus andaz mein baithne ko kaha tu wo baith gia. janwar tha do saal guzarne k bawajud apni malkan ko na bhol saka. zubaida us k saath taik laga kr baith gai aur dair tak roti rahi......... apnon ko yaad krti rahi........us se pochti kia tumhain yaad hai hum tum pe baith ker apne baaghat mein jaye krte...... mein aur mera bhai tum per kaise baith kr khajurain khaya krte thay. janwar tha us ki baatun ka koi jawab na de saka.
madina k islami mashre mein aurat ki do hi iqsam thien yahan k basi in ko azad auratun aur londiyion yani ghulam auratun mein taksim krte. azad auratun se do hi kaam liye jate, aik mard un se apni jinsi khawhish ko pura krte aur dosra muslim mashre mein wusat k liye un se bache paida krwaye jate. zaida tar mardun ne aik se zaida nikah kr rakhe thay hr biwi ko alehada herm mein rakha jata. khawand biwiyion ki bari k mutabiq dino ko taqsim krta yani jume ki raat pehli k herm mein, hafte ki raat dusri k saath, itwar ki raat tessri k herm mein. bari ko badlna , kisi biwi k saath raat guzarna, aurat ki jinsi khawhish ko pura krna ya na krna ye sara ikhtiar mard k pass hota. aurat apne saath hone wale narawa saluk pe bol b nai sakti thi aur londiyion k halaat zubaida jaise thay ya zubaida se b bedtar.
zubaida, malkan humna k na hone ki waja se mohallay ki dusri muslim auratun k saath rafe hajit k liye gai aur jald hi wapis anay wali toli k saath aa gayi. sehan mein baitha us ka ount jugali kr raha tha. wo us k pass gayi, us ki kohaan pe haath phera aur apne kamray mein aa gai. kamre ka diya abi tak jal raha tha. zikria diwar se taik lagaye, apni tangon ko phelaye baitha tha wo mutranim awaz mein koran ki ayat parh raha tha. zubaida us ka dil lubane k liye us ki tangun mein baith gai.....wo kabhi us k seenay se taik lagati......kabi us ki lambi dari mein haath pherti wo aaj har tariqe se us ka dil lubana cah rahi thi. zikria jab apni jinsi bhok mita chuka tu wo us k jism ko dair tak dabati rahi. us ne malik se apne pasandida ount pr sawari krne k liye iltaja ki jo es sharat pr manzoor kr le gai k wo khud kisi raat sehra ki taraf ount le jaye ga aur raste mein us ki ount ki sawari wali khawhish puri kr di jaye gi.
jume ki raat thi zubaida ount pr baithi hoi thi qur zikria nukail thamay agay agay chal raha tha wo madina shehar se dur aa chuke thay keh zubaida ne makhsoos andaaz mein ount ko " hitch hitch " kaha aur ount baith gia . zikria, ount se kuch dur rait ke aik tailay pr baith gia. zubaida rafe hajit ka bahana kr k ount ki oat mein baith gai. kuch dair baad wo ount pr baith k boli " hutcho hutcho shova shova" us k itna kehne se ount khare hotay hi taiz baagne laga.
zikria durta hova pakarne aya aur chilya" pagal larki gir jao gi"
zubaida ne usay zara qareeb pa kr puray zoar se us k moun pr laat de mari wo zamin pr gir gia us k naak se khon phut para, wo zoar zoar se chila raha tha " ruk ja aye khanzira aurat..........." magar zubaida ka ount gup andheray mein ounche neche tailon mein gaib ho chuka tha.
zikria chilata hova masjid nabvi mein dhakil hova us k kapre khon se lat pat ho chuke thay. kuch hi dair mein peghamber muhamad aur us ke sathi akathe ho gay. 7 gurh sawar mujahidin zubaida ko pakerne k liay behje gay qur unhain hukam dia gia keh wo us ko rasun se bandh kr gasitay hovey madina lain ta k wo nishan ibrat ban jaye aur aindha koi loundi ya ghulam bhagne ka soch b na sake.
10 roz tak mujhidin zubaida ko dhondte rahay magar us ka suraag na mil saka. shamal mein basne wale khana badoshun ne bataya k hafte k subah ko aik khawtun sawar ka ount es qadar tez chalta daikha gia keh us se urne wali dhol se kisi andhi ka guman ho raha tha.
zubaida ki talaash mein nakami baad mujhidin ka dasta wapis aya tu muhammad ne apne saathion k ijlas ki sarbarahi krte hove kaha keh:
"allah ne zubaida ko jahanim ki aag mein zinda jalane k liye zamin se utha liya hai aur jibrail fareshte ne ye b kaha hai keh zubaida ka ount b jahanim ki aag mein jal raha hai. aisay logon ka muqadar allah ki yehi badtarin saza hai." us ne mujahidon ka josh ubarte hove kaha: "allah k mujhido aik aur jang ki tairi karo jis mein allah ne mall o zar ki basharat to di hi hai, us k saath malle ganimat mein bohat khobsurat kanwari larkiyion ka wada be kia hai".es pr sb mujhidin ne yak zuban ho kr allah ho akbar ka nara lagaya.
The End
Tags: Khyber, concubine, short, story